
History Of Html
⇒Html history, html versions and Html ki Staring Point se End Point tak ki sabhi jankari ek hi post me.
Friends aagar aap abhi abhi html sikh rahe hai ya html sikhna start kiya hai to ye post apke liye bahut hi helpful hogi. Jisme apko html ki starting se lekar end point tak ki puri jankari di jayegi.
Agar Apko Html Ke bare Me Basic Knowledge Nhi Hai to Ye Post Jrur Padhen⇓⇓⇓
Introduction of Html | Html Kya Hai | Html ka Use Kaha Hota Hai
Post Me Apko Following Contents Milenge : |
|
Html History
Friends Html ki khoj Tim Berners Lee ne ki (Tim Berners Lee Developed Html). Tim Berners Lee ne 1989 me www ki khoj ke bad html ko banaya. html ki khoj ka mukhy uddeshy Tim Berners Lee ke dwara Document Sharing ka tha. Tim Berner ne 1990 me ENQIRE name se ek software banaya jo html par aadharit tha. Jise html banane ki liye develop kiya gya tha.
After some time Tim berners ne Html ko Browser aur Server ke liye likha aur 1991 me html ko lunch kiya.
Isse pahle Tim Berners CERN me Physical Contractor ke rup me French Organization me kaam karte the.
HTML Full Form
Friends HTML ke baare me janne se pahle aapko html ki full form ke bare me pata hona chahiye. So HTML ki full Form “Hyper Text Markup Language” hai. aab jante hai html ke new versions ke bare me.
Html Version
Html ke starting karne se pehle apko ye bhi janna jaruri hai ki html ke kon kon se version hai. So friends aab hum html version ke bare me jante hai.
HTML Version ke new updates lagatar aa rahe hai jinme Html ko or jyada Improve kiya ja raha hai. Following list me html ke new updates bataye ja rahe hai :
Version | Year |
HTML | 1991 |
HTML+/HTML 1.0 | 1993 |
HTML 2.0 | 1995 |
HTML 3.2 | 1997 |
HTML 4.01 | 1999 |
XHTML/XHTML 1.0 | 2000 |
HTML 5 | 2014 |
HTML 5.1 | 2016 |
HTML 5.1 Second Edition | 2017 |
HTML 5.2 | 2017 |
Note : Html Ke Version 1 Se Version 4 tak ke sabhi Version 1991-1999 me Develop kiye gaye hai.
Html 1.0
⇒Html ka yah version sbse pahle lunch hone wala html version hai. Html 1.0 1993 me Lunch huaa tha. Is Time kisi ko bhi html ke bare me pata nhi tha, bahut kam hi Peoples ko html ke bare me pata tha. Yahi karan tha ki us Time Html Grow nhi kar payi thi.
Html 1.0 ka use only webpage or web document tak hi simit tha. Is time People website creation ki trf dhyan nhi dete the. Knowledge ki kami ke karn us time Html simit thi.
Html 2.0
⇒Html 2.0 ko 1995 me Lunch kiya gya tha. Html ke is version me Html 1.0 ke features ko bhi include kar diya gya tha. Aur Is time Html 2.0 kafi Popular rahi thi. Html web designing ke liye ek standard language ban gayi thi. January 1997 tak html ke is version ka use website designing me kiya gaya. Jiska karan Html 2.0 me add hue kuch new features the.
Is parkar Html 2.0 people ke samne aayi.
Html 3.0
Html ke Is Time me peoples jyada se jyada html se include ho rahe the. Is Time Peoples ke dwara html ko aur jyada better or Extra Features ke sath pane ki mang or badh gayi thi.
At this time a man Dave Raggett ne html ke ek aur draft version Html 3.0 ko banaya. Isme Dave Raggett ke dwara aur bhi new features diye gaye the jo html ko better or Strong bana rahe the. Dave is version ko web masters ke liye aur jayada better aur able banana jahta tha. Jo web master ke liye Helpful ho.
Dave Is version ko Build karne me fail ho gya the, Jiska karan ve Extra Features the jo website ko slow bana rahe the. Baad me is version ko aur jayada improve karke market me laya gya.
Html 3.2
⇒Html 3.2 ka version hamare samne 1997 me aaya. Jab W3C (World Wide Web Consortium) ne Html ko Standard Markup Language Announce kar diya tha. Is time Html limited nhi rahi thi aur html ek bade area tak fel chuki thi.
Html ke is version me kuchh aur Extra Html tag diye gaye the, jo html ko aur jyada better aur website designing ke liye powerful bana rahe the. html ke bare me dheere dheere sabhi ko pata chalne laga aur people html se jud gaye.
Note : W3C Recommendation: HTML 3.2
Html 4.01
⇒Html 4.01 ka version hamare samne 1999 me aaya. html ke is version me cascading style sheet ko bhi include kiya gya. Jiske liye html ke is version me kuchh new tags bhi add kiye gaye the. Is time Html ek Modern Markup Language ban chuki thi.
Note : W3C Recommendation: HTML 4.01
XHtml 1.0
⇒XHtml, Html 4.01 ke bad hi humare samye aaya tha. XHtml ke is version me Html ke sath Xml ko Bhi Jod diya gya tha Jise XHtml kaha jata hai. Aur Sath hi Isme new tags or Conding ke liye New Rules bhi Include kiye gaye the. XHtml ka yah version 2000 me humare samne aaya tha. Jiska First Version XHtml 1.0 tha.
Note : W3C Recommendation: XHTML 1.0
Html 5 (Html 5 History)
⇒Html ke is version ko 2008 me draft kiya gaya tha aur baad me 2012 me ise standard kiya gaya. Html 5 ab tak ki sabhi versions ka Latest version hai Jisme Multimedia Supporting ke liye kuchh or html tags provide kiye gye hai. Html 5 ke bare me hum aage chanlkar or bahut kuchh janenge.
Note :
- WHATWG HTML5 First Public Draft
- WHATWG HTML5 Living Standard
- W3C Recommendation: HTML5
Html Starting Point
Use of HTML
Dosto aapko ye pata hona chahiye ki html ka use kaha hota hai. So friends yah aapke html sikhne me bahut hi important hai. so friends html ka use webpage taiyaar karne me kiya jata hai. iske aalava bhi bahut si chije hai jinke baare me hum deere deere aage badhte hue html tutorials me janenge.
html sikhna bilkul hi Easy hai. aur aap ise ghar par hi sikh skte ho. agar aap bhi html ki puri jankari chahte hai to aap hamari website se aaj hi jude. Jo apke html sikhne ke starting point ke liye kafi important sabit hogi. So let’s start it…..
Html Editor
First, Hume pata hona chiye ki hume html ko likhne ke liye konse html editor ka use krna hai. To Friends Aagar aap html ke sector me bilkul hi new hai to apko apne html ko likhne ke liye staring section me Notepad ka use krna chahiye.
Friends Notepad me aap asani se Html me Editing bar bar kar sakte ho. Jo apke dawara ki gayi mistake ko bar bar change karne ki anumati deta hai. Html ka yhi Feature ise simple or Easy banata hai.
Agar Friends Aap Notepad ka use nhi karna chahte hai to aap apne pc me bhi html editor ka use kar skte ho.
Html Training
Agar aap apne computer me bhi html nhi likhna chahte hai to aap html tranning ke liye online website ka use bhi kar skte ho. Jisme apko kai problems bhi ho skti hai. Ye problems apko tabhi hogi jab aap html ke starting point me ho.
Note : Friends mai apko Suggest karta hu ki aap html training ke liye notepad ka hi use kre.
Html Online Training
⇒Html ki online training apke liye tab hi usefull hai jab aap html ka kuchh anubhav rakhte hai. Yaha Html ki Online Training ke liye kuchh links diye gaye hai Jispar aap visit kar skte ho⇓⇓⇓
Online Editor :
- Online HTML Editor
- W3School Online Code Editor
- Html Editor
- Html Code Editor
- Online HTML Editor Froala
Html Extension
Yaha humne apko Html ko edit krne aur html ki online training ke bare me bataya. aab apko html me ye bataya jayega ki html ko pura likhne ke baad apko kese ise save karna hai aur iska Extension kese karna hai.
Html Extension Kya Hai
or
Html coding ko likhne ke baad use browser me run krne ke liye file ko .html/.htm extension diya jata hai jisse html coding ki file bowser me run ho pati hai, ise hi html extension kahte hai.
Example : “file name.html/.htm”
Html ko agar aap notepad me likhte hai to apko ise .html/.htm me save kiya jata hai taki aap is extension ko browser par run kar ske.
Agar aap html coding ko kisi editor me likhte hai to apki html coding automatic hi .html ke extension me save hoti hai.
Html Export
⇒Html ko export kene ke Two types Apko yaha bataye ja rahe hai jinhe follow krke aap apna html extension browser me run kar skte hai :
- Html Extension Par Jakar
⇒Html ko export krne ke liye apko aap bahut se browser ka use kar skte ho. html export ke liye aap apni use file par jaye jise apne .html/.htm extension me save kiya hai. Aur us par Third Click krain, Third Click krane ke bad apke samne Open with ka Option hoga us par Click karne ke baad Aap apna wo browser chune jispe apko apna html web document ya web page dekhna hai.
- Web Browser Par Jakar
Html extension ko web Browser Par run Krne ke liye apko “ctrl+O” ko keybord par press karna hai. Keyboard par press krene ke baad apke pass Ek Menu Box Open hoga jisme apko “Browse” ka Option dikhayi dega. Us par Click karke Aap us file ko chune jo apne .html/.htm ke extension me save ki hai. File ko choose krne ke baad use browse kar de or apka extention web page ke rup me open ho jayega.
What’s you Know By This Post
- What Is History Of Html ?
- ⇒Who is Tem Berners Lee ?
- Who Developed Html ?
- How Many Versions of Html ?
- What is History of ⇒Html 1.0 ?
- ⇒What is History of ⇒HTML 2.0 ?
- What is History of Html 3.0 ?
- ⇒What is History of Html 4.01 ?
- What is History of Html 5 ?
- How am I Start Html ?
- What Is Html Editor ?
- How do I Html Training ?
- ⇒How do I Html Training Online ?
- What is Html Extension ?
- How Work Html Extension ?
- ⇒How Save a Html Coding File ?
- How Export Html File In Web Browser ?
Agar Apko Humari Post Achhi Lagi To Ise Like Aur Share Jrur Kre Aur Humari Other Post ko Dekhne ke Liye Niche diye gaye Link Par Click Krain.Thank you….. Friends.
Learn Html || Html tag || Basic Html Course
Introduction of Html | Html Kya Hai | Html ka Use Kaha Hota Hai
- html full form
- ⇒html history
- history of html
- learn html and css
- htm
- html tutorial
- latest version of html
- use of html